جب میگھا آتی ہے
Urooj Jafriجب میگھا آتی ہے
سب کو پتہ چل جاتا ہے
کبھی اس کی ہنسی سے
کبھی اس کی خوشبو سے
کبھی کانوں کے جھمکے
کبھی آنکھ کا کاجل
سب کو بتا دیتے ہیں
میگھا کہیں قریب ہی ہے
اس کی ہنسی کی کھنک آج کل
بڑی گہری ہے
آنچل بھی لہرائے ہیں مگر
کوئی جانتا نہیں اس ساری رونق سے
پرے ایک دل ہے
جو دھڑکنا بند کرنے کو ہے
سانسیں اکثر گھٹنے لگتی ہیں
مگر میگھا جاگتی ہے
پھر سے خود کو سنوارتی ہے!
jab megha ati hai
sab ko pata chal jata hai
kabhi us ki hansi se
kabhi us ki khushbu se
kabhi kanon ke jhamke
kabhi ankh ka kajal
sab ko bata dete hain
megha kahin qarib hi hai
us ki hansi ki khanak aj kal
bari gahri hai
anchal bhi lahrae hain magar
koi janta nahin is sari raunaq se
pare ek dil hai
jo dharakna band karne ko hai
sansen aksar ghatne lagti hain
magar megha jagti hai
phir se khud ko sanwarti hai!