کوئی آواز تھی جس کے تلاطم میں
Tabassum Fatma (1972–2021)کوئی آواز تھی جس کے تلاطم میں
یوں بہہ جانا کہاں منظور مجھ کو تھا
کہیں وحشت کے ان دیکھے بھنور کے سات پردے تھے
جو زندانوں میں کھلتے تھے
ہر ایک زنداں میں میں تھی
اور مری سرشار طبیعت کے ہر ایک لمحے کی سانسوں میں
کہیں میری انا تھی میری طاقت تھی محبت تھی
میں کب ایسی کسی آواز کی زد میں
محبت ڈھونڈھتی تحلیل ہوتی
اور آوارہ سی کچھ موجوں میں مل کر خود کو کھو دیتی
محبت جسم ہے مانا
مگر سرشار روحوں کی الگ بھی ایک بستی ہے
خیالوں سے پرے بھی اک نگر ہے
جہاں ویرانیوں کی سلطنت میں
دیدہ و نادیدہ خواب بنتے اور اجڑتے ہیں
کہیں ہم راستے کے سنگ پاروں سے الجھ کر
ایک لمحے میں ہزاروں بار جیتے اور مرتے ہیں
محبت جسم کے چھوٹے سے حجرے کے
کسی گوشے میں رہتی ہے
یہاں روزن نہیں کوئی
کہیں سے روشنی کی اک کرن اندر نہیں آتی
بہت گہرا اندھیرا ہے
تصور اور خیالوں کی گزر گاہوں پہ پہرا ہے
محبت ایک لا حاصل سفر کا ساتواں پردہ ہے
جس میں اک سمندر اس کی طغیانی خموشی کا بسیرا ہے
سمندر شانت ہوتا ہے تو پستانوں سے لہریں یوں لپٹتی ہیں
کہ جیسے گھن گرج کے بعد سرشاری کا لمحہ ہو
اسی لمحے میں وقفے میں
محبت بے کراں ہوتی ہے جیتی ہے
محبت گنگناتی اور بکھرتی ہے
محبت جاوداں ہوتی مہکتی ہے
koi awaz thi jis ke talatum mein
yun bah jana kahan manzur mujh ko tha
kahin wahshat ke an dekhe bhanwar ke sat parde the
jo zindanon mein khulte the
har ek zindan mein main thi
aur miri sarshar tabiat ke har ek lamhe ki sanson mein
kahin meri ana thi meri taqat thi mohabbat thi
main kab aisi kisi awaz ki zad mein
mohabbat dhundhti tahlil hoti
aur awara si kuchh maujon mein mil kar khud ko kho deti
mohabbat jism hai mana
magar sarshar ruhon ki alag bhi ek basti hai
khayalon se pare bhi ik nagar hai
jahan wiraniyon ki saltanat mein
dida-o-nadida khwab bante aur ujarte hain
kahin ham raste ke sang paron se ulajh kar
ek lamhe mein hazaron bar jite aur marte hain
mohabbat jism ke chhote se hujre ke
kisi goshe mein rahti hai
yahan rauzan nahin koi
kahin se raushni ki ik kiran andar nahin ati
bahut gahra andhera hai
tasawwur aur khayalon ki guzar gahon pe pahra hai
mohabbat ek la hasil safar ka satwan parda hai
jis mein ik samundar us ki tughyani khamoshi ka basera hai
samundar shant hota hai to pistanon se lahren yun lipatti hain
ke jaise ghin garaj ke baad sarshari ka lamha ho
isi lamhe mein waqfe mein
mohabbat be karan hoti hai jiti hai
mohabbat gungunati aur bikharti hai
mohabbat jawedan hoti mahakti hai