ذرا دور چلنے کی حسرت رہی ہے
Tabassum Fatma (1972–2021)ذرا دور چلنے کی حسرت رہی ہے
محبت ہی صرف زندگی تو نہیں ہے
کہ تم سے الگ بھی محبت رہی ہے
خوشی کے لئے گھر ہی کافی نہیں ہے
کہ گھر سے الگ کی بھی چاہت رہی ہے
ذرا دور چلنے کی حسرت رہی ہے
میں ویرانیوں کی اداسی کی تنہائیوں کی پسند ہوں
جزیرے بناتی ہوں پھر توڑتی ہوں
میں خوابوں کو آباد کرتی بھی ہوں راکھ کرتی بھی ہوں
میں آزاد اڑتا پرندہ ہوں جس کے لئے
آسماں کی اڑانیں بھی کم پڑ گئی ہیں
زمیں تھم گئی ہے
چراغوں کو جلنے کی عادت رہی ہے
ذرا دور چلنے کی حسرت رہی ہے
میں نادیدہ خوابوں کا احساس ہوں
فلک تک جو گونجے وہ آواز ہوں
دلوں تک جو پہنچے میں وہ ساز ہوں
گھٹن قید بندش کے احساس سے کورے جذبات سے دور ہوں مطمئن
میں سمندر ہوں بہتی ہوا اور گرجتی ہوئی موج ہوں
میں سکندر کولمبس ہوں آزاد ہوں
کہکشاں سے الگ کہکشاں اور بھی ہیں
جہانوں میں کیوں خود کو میں قید رکھوں جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
میری فطرت میں میری طاقت رہی ہے
محبت ہی صرف زندگی تو نہیں ہے
کہ تم سے الگ بھی محبت رہی ہے
ذرا دور چلنے کی حسرت رہی ہے
zara dur chalne ki hasrat rahi hai
mohabbat hi sirf-e-zindagi to nahin hai
ke tum se alag bhi mohabbat rahi hai
khushi ke liye ghar hi kafi nahin hai
ke ghar se alag ki bhi chahat rahi hai
zara dur chalne ki hasrat rahi hai
main wiraniyon ki udasi ki tanhaiyon ki pasand hun
jazire banati hun phir torti hun
main khwabon ko abad karti bhi hun rakh karti bhi hun
main azad urta parinda hun jis ke liye
asman ki uranen bhi kam par gai hain
zamin tham gai hai
charaghon ko jalne ki adat rahi hai
zara dur chalne ki hasrat rahi hai
main nadida khwabon ka ehsas hun
falak tak jo gunje wo awaz hun
dilon tak jo pahunche mein wo saz hun
ghutan qaid bandish ke ehsas se kore jazbat se dur hun mutmain
main samundar hun bahti hua aur garajti hui mauj hun
main sikandar kolmbas hun azad hun
kahkashan se alag kahkashan aur bhi hain
jahanon mein kyun khud ko main qaid rakhun jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
meri fitrat mein meri taqat rahi hai
mohabbat hi sirf-e-zindagi to nahin hai
ke tum se alag bhi mohabbat rahi hai
zara dur chalne ki hasrat rahi hai