تہذیب کا رہبر ہے یہ پنجاب ہمارا
Qais Jalandhari (1904–1994)تہذیب کا رہبر ہے یہ پنجاب ہمارا
ہر علم کا مصدر ہے یہ پنجاب ہمارا
ہر فن میں معقر ہے یہ پنجاب ہمارا
عرفاں سے منور ہے یہ پنجاب ہمارا
جنت سے بھی برتر ہے یہ پنجاب ہمارا
ساحر بھی فسوں کار بھی ہیں اس کی بہاریں
سرمست بھی سرشار بھی ہیں اس کی بہاریں
دل کش بھی طرح دار بھی ہیں اس کی بہاریں
گل رنگ بھی گل بار بھی ہیں اس کی بہاریں
جنت سے بھی برتر ہے یہ پنجاب ہمارا
یہ خلد فضا خلد نما اس کے مناظر
یہ ماہ ضیا مہر لقا اس کے مناظر
یہ کیف ادا روح فزا اس کے مناظر
ہر سمت یہ اندوہ ربا اس کے مناظر
جنت سے بھی برتر ہے یہ پنجاب ہمارا
مے بار بھی مے نوش بھی ہیں اس کی گھٹائیں
جام مئے سرجوش بھی ہیں اس کی گھٹائیں
مے خانہ بہ آغوش بھی ہیں اس کی گھٹائیں
غارت گر صد ہوش بھی ہیں اس کی گھٹائیں
جنت سے بھی برتر ہے یہ پنجاب ہمارا
رشیوں نے یہاں گائے ہیں الفت کے ترانے
گورؤں نے سنائے ہیں حقیقت کے فسانے
بھگتوں نے یہاں پائے ہیں قدرت کے خزانے
لوگوں نے بنائے ہیں مسرت کے ٹھکانے
جنت سے بھی برتر ہے یہ پنجاب ہمارا
پنجاب کو ہم روشن و پر نور کریں گے
پنجاب کو ہم امن سے معمور کریں گے
پنجاب کو ہر حال میں مسرور کریں گے
پنجاب کو ہم اور بھی مشہور کریں گے
جنت سے بھی برتر ہے یہ پنجاب ہمارا
tahzib ka rahbar hai ye panjab hamara
har ilm ka masdar hai ye panjab hamara
har fan mein maaqar hai ye panjab hamara
irfan se munawwar hai ye panjab hamara
jannat se bhi bartar hai ye panjab hamara
sahir bhi fusun kar bhi hain us ki baharen
sarmast bhi sarshar bhi hain us ki baharen
dil kash bhi tarah dar bhi hain us ki baharen
gul rang bhi gul bar bhi hain us ki baharen
jannat se bhi bartar hai ye panjab hamara
ye khuld faza khuld numa us ke manazir
ye mah ziya mehr-e-liqa us ke manazir
ye kaif ada ruh faza us ke manazir
har samt ye andoh ruba us ke manazir
jannat se bhi bartar hai ye panjab hamara
mai bar bhi mai nosh bhi hain us ki ghataen
jam-e-mai sarjosh bhi hain us ki ghataen
mai khana ba aghosh bhi hain us ki ghataen
gharat gar sad hosh bhi hain us ki ghataen
jannat se bhi bartar hai ye panjab hamara
rishiyon ne yahan gae hain ulfat ke tarane
gorun ne sunae hain haqiqat ke fasane
bhagaton ne yahan pae hain qudrat ke khazane
logon ne banae hain masarrat ke thikane
jannat se bhi bartar hai ye panjab hamara
panjab ko ham raushan-o-pur nur karenge
panjab ko ham amn se maamur karenge
panjab ko har hal mein masrur karenge
panjab ko ham aur bhi mashhur karenge
jannat se bhi bartar hai ye panjab hamara