کس سے پوچھئے جا کر کیوں بگڑ گئے بچے
Hafeez Shahid (1942–2014)کس سے پوچھئے جا کر کیوں بگڑ گئے بچے
آتشیں کھلونوں سے کھیلنے لگے بچے
کچھ نئے تقاضے ہیں اس نئے زمانے کے
اب کہاں مچلتے ہیں چاند کے لیے بچے
کھو گئے تعصب کے بے کراں اندھیروں میں
شہر کی فضاؤں میں میرے گاؤں کے بچے
دو گھڑی لڑائی ہے پھر وہی صفائی ہے
ہم بڑوں سے اچھے ہیں بے شعور سے بچے
اک قدم بھی پھر آگے میں نہ چل سکا شاہدؔ
جب کڑی مسافت میں یاد آ گئے بچے
kis se puchhiye ja kar kyun bigar gae bachche
atishin khilaunon se khelne lage bachche
kuchh nae taqaze hain is nae zamane ke
ab kahan machalte hain chand ke liye bachche
kho gae taassub ke be karan andheron mein
shahr ki fazaon mein mere gaon ke bachche
do ghari larai hai phir wahi safai hai
ham baron se achchhe hain be shuur se bachche
ik qadam bhi phir age main na chal saka shahid
jab kari masafat mein yad a gae bachche