نوک مینار پہ اٹکی ہوئی قمری سے بھلا
Chaudhary Mohammad Naeem (b. 1936)نوک مینار پہ اٹکی ہوئی قمری سے بھلا
کیا پتہ خاک چلا
''آسماں حد نظر ہے کہ کمیں گاہ رقیب؟''
میں بتاتا ہوں مگر اپنے سخن بیچ میں ہے
آسماں ایک کبوتر ہے کہ جس کے خوں کی
پیاس میں سیکڑوں عقاب اڑا کرتے ہیں
موت بدکار شرابی ہے پڑوسی میرا
روز دروازے کے اس پار جو گر جاتا ہے
زندگی ایک چھچھوندر ہے کہ جس کی بد بو
بوئے یوسف میں بھی ہے گریۂ یعقوب میں بھی
علم سرکس کے مداری کے دہن کا شعلہ
ذائقہ منہ کا بدلنے کو بہت کافی ہے
اور میں ایک حسیں خواب کہ جس میں گم ہے
خواب دیکھنے والا وہ کمیں گہہ کا رقیب
nok-e-minar pe atki hui qumri se bhala
kya pata khak chala
''asman had-e-nazar hai ke kamin gah-e-raqib?''
main batata hun magar apne sukhan bich mein hai
asman ek kabutar hai ke jis ke khun ki
pyas mein saikron uqab ura karte hain
maut badkar sharabi hai parosi mera
roz darwaze ke us par jo gir jata hai
zindagi ek chhachhundar hai ke jis ki bad bu
bu-e-yusuf mein bhi hai girya-e-yaaqub mein bhi
ilm sarkas ke madari ke dahan ka shola
zaiqa munh ka badalne ko bahut kafi hai
aur main ek hasin khwab ke jis mein gum hai
khwab dekhne wala wo kamin gah ka raqib