ان دنوں یار کے کچھ ذہن نشیں اور بھی ہے
Akbar Allahabadi (1846–1921)ان دنوں یار کے کچھ ذہن نشیں اور بھی ہے
جانتا ہے کہ نشست ان کی کہیں اور بھی ہے
ایک دل تھا سو دیا اور کہاں سے لاؤں
جھوٹ کہئے تو میں کہہ دوں کہ نہیں اور بھی ہے
ناز بے جا نہ کیا کیجیئے ہم سے اتنا
اسی انداز کا اک یار حسیں اور بھی ہے
کہیو اس غیرت لیلیٰ سے یہ پیغام صبا
پہلوئے قیس میں اک دشت نشیں اور بھی ہے
میرے بلوانے کا احسان جتاؤ نہ بہت
مہرباں ایک بت پردہ نشیں اور بھی ہے
ان ردیفوں میں غزل کیوں نہ ہو دشوار اکبرؔ
نا تراشیدہ کوئی ایسی زمیں اور بھی ہے
in dinon yar ke kuchh zehn nashin aur bhi hai
janta hai ke nashist un ki kahin aur bhi hai
ek dil tha so diya aur kahan se laun
jhut kahiye to main kah dun ke nahin aur bhi hai
naz-e-be ja na kiya kijie ham se itna
isi andaz ka ik yar hasin aur bhi hai
kahiyo is ghairat-e-laila se ye paigham-e-saba
pahlu-e-qais mein ik dasht nashin aur bhi hai
mere biloane ka ehsan jatao na bahut
mehrban ek but-e-parda nashin aur bhi hai
in radifon mein ghazal kyun na ho dushwar akbar
na tarashida koi aisi zamin aur bhi hai