حاصل ہو کچھ معاش یہ محنت کی بات ہے
Akbar Allahabadi (1846–1921)حاصل ہو کچھ معاش یہ محنت کی بات ہے
لیکن سرور قلب یہ قسمت کی بات ہے
آپس کی واہ واہ لیاقت کی بات ہے
سرکار کی قبول یہ حکمت کی بات ہے
وہ مخبر رقیب ہے میں ہوں شہید عشق
یہ اپنی اپنی ہمت و غیرت کی بات ہے
بے.اے. بھی پاس ہوں ملے بی بی بھی دل پسند
محنت کی ہے وہ بات یہ قسمت کی بات ہے
تہذیب مغربی میں ہے بوسہ تلک معاف
اس سے اگر بڑھو تو شرارت کی بات ہے
hasil ho kuchh maash ye mehnat ki bat hai
lekin surur qalb ye qismat ki bat hai
apas ki wah wah liyaqat ki bat hai
sarkar ki qubul ye hikmat ki bat hai
wo mukhbir-e-raqib hai main hun shahid-e-ishq
ye apni apni himmat-o-ghairat ki bat hai
be.ai. bhi pas hun mile bi bi bhi dil pasand
mehnat ki hai wo bat ye qismat ki bat hai
tahzib-e-maghribi mein hai bosa talak muaf
us se agar barho to shararat ki bat hai