vo jo rāste the vafā ke the ye jo manzileñ haiñ sazā kī haiñ
وہ جو راستے تھے وفا کے تھے یہ جو منزلیں ہیں سزا کی ہیںوہ جو راستے تھے وفا کے تھے یہ جو منزلیں ہیں سزا کی ہیں
مرا ہم سفر کوئی اور تھا مرا ہم نشیں کوئی اور ہے
مرے جسم و جاں میں ترے سوا نہیں اور کوئی بھی دوسرا
مجھے پھر بھی لگتا ہے اس طرح کہ کہیں کہیں کوئی اور ہے
میں اسیر اپنے غزال کا میں فقیر دشت وصال کا
جو ہرن کو باندھ کے لے گیا وہ سبکتگیں کوئی اور ہے
میں عجب مسافر بے اماں کہ جہاں جہاں بھی گیا وہاں
مجھے یہ لگا مرا خاکداں یہ زمیں نہیں کوئی اور ہے
رہے بے خبر مرے یار تک کبھی اس پہ شک کبھی اس پہ شک
مرے جی کو جس کی رہی للک وہ قمر جبیں کوئی اور ہے
یہ جو چار دن کے ندیم ہیں انہیں کیا فرازؔ کوئی کہے
وہ محبتیں وہ شکایتیں ہمیں جس سے تھیں کوئی اور ہے
vo jo rāste the vafā ke the ye jo manzileñ haiñ sazā kī haiñ
mirā ham safar koī aur thā mirā ham nashīñ koī aur hai
mire jism-o-jāñ meñ tire sivā nahīñ aur koī bhī dūsrā
mujhe phir bhī lagtā hai is tarah ke kahīñ kahīñ koī aur hai
maiñ asīr apne ġhazāl kā maiñ faqīr dasht-e-visāl kā
jo hiran ko bāñdh ke le gayā vo subuktageñ koī aur hai
maiñ ajab musāfir be amāñ ke jahāñ jahāñ bhī gayā vahāñ
mujhe ye lagā mirā ḳhākdāñ ye zamīñ nahīñ koī aur hai
rahe be ḳhabar mire yār tak kabhī us pe shak kabhī us pe shak
mire jī ko jis kī rahī lalak vo qamar jabīñ koī aur hai
ye jo chār din ke nadīm haiñ unheñ kyā farāz koī kahe
vo mohabbateñ vo shikāyateñ hameñ jis se thīñ koī aur hai