پنچاب کے پیرزادوں سے
Allama Iqbal (1877–1938)حاضر ہوا میں شیخ مجدد کی لحد پر
وہ خاک کہ ہے زیر فلک مطلع انوار
اس خاک کے ذروں سے ہیں شرمندہ ستارے
اس خاک میں پوشیدہ ہے وہ صاحب اسرار
گردن نہ جھکی جس کی جہانگیر کے آگے
جس کے نفس گرم سے ہے گرمی احرار
وہ ہند میں سرمایہء ملت کا نگہباں
اللہ نے بر وقت کیا جس کو خبردار
کی عرض یہ میں نے کہ عطا فقر ہو مجھ کو
!آنکھیں مری بینا ہیں ، و لیکن نہیں بیدار
آئی یہ صدا سلسلہء فقر ہوا بند
ہیں اہل نظر کشور پنجاب سے بیزار
عارف کا ٹھکانا نہیں وہ خطہ کہ جس میں
پیدا کلہ فقر سے ہو طرئہ دستار
باقی کلہ فقر سے تھا ولولہء حق
!'طروں نے چڑھایا نشہء 'خدمت سرکار
hazir hawa mein shaikh-e-mujaddid ki lahad par
wo khak ke hai zer-e-falak matla-e-anwar
is khak ke zarron se hain sharminda sitare
is khak mein poshida hai wo sahab-e-asrar
gardan na jhuki jis ki jahangir ke age
jis ke nafas-e-garm se hai garmi-e-ahrar
wo hind mein sarmaeh millat ka nigahban
allah ne bar waqt kiya jis ko khabardar
ki arz ye main ne ke ata faqr ho mujh ko
!ankhen miri bina hain, o lekin nahin bedar
ai ye sada salsalah faqr hua band
hain ahl-e-nazar kishwar-e-panjab se bezar
arif ka thikana nahin wo khitta ke jis mein
paida kulah-e-faqr se ho tareh dastar
baqi kulah-e-faqr se tha walolah haq
!'taron ne charhaya nashah 'khidmat-e-sarkar