پیچ رکھتے ہو بہت صاحبو دستار کے بیچ
Ahmad Faraz (1931–2008)پیچ رکھتے ہو بہت صاحبو دستار کے بیچ
ہم نے سر گرتے ہوئے دیکھے ہیں بازار کے بیچ
باغبانوں کو عجب رنج سے تکتے ہیں گلاب
گل فروش آج بہت جمع ہیں گلزار کے بیچ
قاتل اس شہر کا جب بانٹ رہا تھا منصب
ایک درویش بھی دیکھا اسی دربار کے بیچ
کج اداؤں کی عنایت ہے کہ ہم سے عشاق
کبھی دیوار کے پیچھے کبھی دیوار کے بیچ
تم ہو نا خوش تو یہاں کون ہے خوش پھر بھی فرازؔ
لوگ رہتے ہیں اسی شہر دل آزار کے بیچ
pech rakhte ho bahut sahabo dastar ke bich
ham ne sar girte hue dekhe hain bazar ke bich
baghbanon ko ajab ranj se takte hain gulab
gul farosh aj bahut jama hain gulzar ke bich
qatil is shahr ka jab bant raha tha mansab
ek darwesh bhi dekha isi darbar ke bich
kaj adaon ki inayat hai ke ham se ushshaq
kabhi diwar ke pichhe kabhi diwar ke bich
tum ho na khush to yahan kaun hai khush phir bhi faraz
log rahte hain isi shahr-e-dil azar ke bich